Sunday, December 18, 2011

Fathers' Love for Daughter (Hindi)

Beti tere saubhagya ka kumkum aajj ghol k laya hu,
Vidhata ne jo likha tha pata dhundke laya hu.
Meri laadli k liye rumjhum jhalar laya hu,
Dil mera ro raha hai par chehre pe muskaan laya hu,
Pahaad jaisa baap bhi ro padta hai beti ki bidai se,
Aangan mera suna hoga mein vivash banke aya hu.
Bhul jana pihar k pyar ko aansu k sath kehne aya hu,
Dono kul ko roshan karna aisa najrana dene aya hu,
Ro ro k aankhe laal ho gayi hai beti teri aur meri,
Fir bhi tujhe alag karni padegi vyavhaar aur vachan k rishte se bandha gaya hu.
Ae samay tham ja jara thoda sa piche mudja,
Ajab riti riwaaj hai ye beti ko vida karne ka,
Hui suni bagiya meri, hua suna aangan aur hui suni aaosri,
Laadli ko laad ladane ka hai baki tab vo laadi bani.
Vidai dekar laado ko apni chup chup kar khub roya hu,
Jaise mera kuch ko gaya hai apne rhidaye k aangan me dhund raha hu,
Yaado me aayi boli lo papa mein aa gayi, maanane ko raazi nahi maan mera,
Apni beti ko doli me khud vida kar aya hu.

AISA PREM HOTA HAI EK BAAP AUR BETI K BICH ME.

~ Unknown
Enhanced by Zemanta

No comments:

Post a Comment